Hakim Saeed Sahib say aik mulaqat


Shahid sports say him nikley hi they, or apnay kanpuri doost kay ghar ki taraf ka rukh kiya hi tha, keh Chootay Kahlid sey takraoo hoo geyaa, undinoon uska danka bolta tha
mamooli taqraar per, us nay humari khoob pitai ki, majma lag geya, or Arshad Clinic kay compounder ney a ker humeen bachayaa….
Zarbeen shadeed theen,sara jism sooj geya, mager majal hey joo hum ne ghar meen kanoon kan khabir bhi hooney dee….

mamla thanda neheen huwa,
khuch dinoon bad , choota khalid humeen Cycle per nazar aya
Shahid sports say cycleen bhee kiraye per miltee theen.
Hum nay uski chaltee cycle per lat mar ker , usko gira diya.. … Or phir us koo sanbhalney ka moqaa naheen diyaa… bohot mara…… sub loog sirf tamasha hi deykhtey rehey….phir jub hamari tabiyat bhar gayee ..to usko waheen sarak per leytaa choor ker chaley ayeee.

wooh din , or jab tak hum us ilakey meen rehay, jub bhi hum doonon ka amna samna hoota, to doonon Kani kutter ker nikal jatey, Phir hum doonon meen aik dooseray say ulejney ki Himat naheen huweee…

..aik sham, Manzoor market kay samney chootey say tikoney Maidan meen hum cricket kheel rehey they, peechay hi Hamdrard Laboratory ka gate tha….achanak aik garee a ker rukee, or us meen say Hakim sahib Niklee…. khuch deer apney karigaroon say bateen kertey rehey,….phir janey kiya soojhee….. hum loogon ki taraf a gayee..
us Waqt Jamal bowling keraa reha tha, …Fouzi bating ker reha tha….or hum wicket kay peechay kheree thee…

khuch deyr deykhtey rehey,…. Nasir jo waheen kaheen khera thaaa…usko janey kiya soojhee… Hakim sahib say bool peraa…Hakim sahib kheeleen gey….
Hum sub koo sanp soongh geyaa…. Kehan Hakim Sahib or kahan Hum sub chootey chootey bachey….
Magar janey Hakim sahib ko kiya soojhee….Muskurayee….khuch soocha pher kehnay legay Laoo
deykhtey heen
..aik do dafaa to jamal ki gayend unkay ballay ka paas say guzar gayee…. ghaleban Jamal ka Seeroon Khoon bher geya hooga….Magar…kab tak…. agli hi ball Hakim sabib key
Balley per cherh gayee….or seedhi….. Govt College key ander…….aaj tak hum meen say kisee nay, itnee oonchee….or door tak ki Hit naheen lagayee thee…..

Hakim sahib , muskurayee….or bala wapus ker kay, hum sub bachoon ko chand naseheeteen kee, jin meen waqt ki pabandi ka khas toor per ziker kiya …jo haumeen aaj tak yad hey…
or phir apni Garee meen beyth ker chaley gayeee…..

Yeh Hakim Mohammed Saeed sahib they, joo keh Hamdard Laboratory kay Malik they…. Baad meen Karachi kay governer bhi baney…….or kehtey heen Mutasib loogon ney
apna kaam na hooney per unko Burns Road per din deharay Qatel kar deeyaaa……or shomeeya Qismat….unkay Qatil aaj bhi …billaa jhijek, din deharay khuley aam phirtey heen……

Khas toor per Choota Salim, jis koo soonay ki zanjeereen pehenney ka bohot shouk hey…..suna hey ajkal, …..Bankok meen hey….!!

Badlta hey rang
yeh jehan kaisay kaisay

Zameen kha gayee
Aasman kaisay kaisay…

4 comments

  1. Loved it!

    Hakeem sahab se aap ki ye choti si mulaqat parh kar accha laga. Mujhe apney school ka waqt yaad aagaya jub mein Hakeem Sahab se week mein 1 baar mila karta tha jub woh school aaya kartey they: Hamdard Public School, jo key un hi ka banaya hoa school hai, or jahan hum ne pehli jamaat se daweein jamaat tak yaadgaar time guzara.

    Hakeem Sahab ki nasehatein aaj bhi yaad hain. Kai pe tu amal na kar saka, kosish zaroor karta hon, jaise waqt ki pabandi. Ek naseehat pe zaroor him amal kia. Woh kuch yun hai key jub Hakeem Sahab school aaya kartey they tu pehli jamaat se dasweein jamaat tak ki assembly month mein ek baar ek saath hoa karti thi jis mein Hakeem sahab kuch naseehatein kartey they or ek do chotey chotey qissey sunatey they jinka moral hota tha. But un sub se pehle woh mike pe sub taalib ilmon sey pochtey they: “Kaisey mizaaj hain?”. Or sub ba-awaaz buland, magar qaedey sey, mukhtalif jawaab detey they, jaise “Allah ka shukar, AlhamduLillah, Thik thaak, bilkul thik, wagaira wagaira.” Tu Hakim sahab hamesha naseehat kartey they key is ka jawaab hamesha “AlhamduLillah” se dena chahye. Allah un ko Jannat-ul-Firdous mein jagah dey. Ameen

  2. Haan ek baat tu likhna hi bhool gaya mein. 17 october 1998 ko Hakim Sahab ko shaheed kia gaya. Or 16 October 1998, yaani un ki shahadat se ek din pehley, ko tulba ki ek conerence hoi thi Regent Plaza (old name Taj Mahal Hotel) jis mein jageerdaron key khilaf awaz bhi uthae gae thi. Mujhe Hakim Sahab ki taraf se ba-zarya school invitation letter aaya tha woh conerence join karney ko jis ki sadarat Hakim Sahab khud kar rahe they. Aaj bhi afsoos hai key woh conference naen join kar saka. Agley din un ko Shaheed kardia gaya. Woh invitation letter jis pe Hakim Sahab key khud key dastakhat they aaj bhi hifazat sey mehfooz hai .. yaadgaar key tor pey!

Leave a comment