Javed


Aik din hamri dukan kay paas aik richshaw aa ker rukaa… usmeen say aik shaks jis ki aik tang naheen thee , utraa……. ham say khuch sooda khareeda ….or transport ka naam bata ker key falan transport per biltee kerwaa deyjee gaa ….. meen sham ko aa ker bilty ley jaaon gaa … chala geyaa…

market key dukan daroon ney humeen batayaa key yeh Pindi ka aik dukandar hey…. do bhai heyn or aik walid sahib…. teenoon apna alg alg kaam kertey heeyn…

sath hi taqeed ki , keh naqd to theek hey, udhar kabhi insay ghaltee say bhi naheen kijeeyaa gaa…….

hum ney baat girah meen bandh lee..

phir aik din , uska aik khat ayee… likhaa thaa… khud naheen aa saktaa… lehaza khat likhaa hey…. khat kay sath aik draft bhi thaa or maal kaa order bhi…….

order poora kernay kay baad bhi….. uskay 1000 -1500 rupee bachtey theey….. hum nay usay phone kiyaa ….. key aap kay 1000-1500 bachtey heeyn kiyaa kareen….. wapsi ka draft banwayaa to commission aap ko dyna hoo gaa…

hansaa kehnay lagaa…. humaray hisab meen rekh leyn….. hamara matha thankaa… keh yeh to udhar ka chaker shiroo kernay walay heyn…. khair…….khuch sooch ker rekh liyee….

pandra beys din baad doubara uska khat ayee…. phir woohi draft thaa…or us say kam ka arder…….
ub uskay khatey meen taqreebn 5000 hamari taraf niklney lagey…….

phir maheenay baad bhi aik draft ayeeaa…. unkay arder ziadaa thaa….. or koi 1200 1400 uski taraf naklney walay they…
ham mashkooq they…. hum ney …aik adh item kum ker diyaa ….. our usko phone ker diyaa key yeh item filhal hay hi naheen….
istarha usee kay khuch paisay phir hamari taraf nikley..

khair yeh silsilaa , chay aath maheenay chalaa…… or janay kaisay….. uski taraf 8000-10,000 ka udhar hoo geyaa……..

kiyoon key uski taraf say ubhi tak , koi takleef naheen hoo rehey thee , or karobar ba qaidagi say hoo rehaa thaa hum ney ziada khiyal naheen kiyaa…..

aik duffa uska phone ayee….. hamaray uski taraf koi 12000 say ooper hoo gayee they…. keh usnay draft banwayaa thaa……….. mulazim say kaheen gir geyaa hey….wooh khud apni mazoori ki wajah say aa naheen saktey ….. lehaza agr hum kissi ko bheyj deyn to wooh usko naqd usee waqt adaigee ker dey gaa….

arder koi naheen diyaa…

hum bhi Lahore meen, subh sham sirf chaki ki tarah….dukan or dukan say ghar key chakr meen phansay huway they…

socha Lahore say nikalney ka moqa ahcaa hey…. waisay bhi Lahore say pindi ka rasta GT road say 4-5 ghantey ka hi to hey…. subah nikleyn gay sham ko wapus aa jayeen gay…

so usko phone kiyaa , key hum khud aa rehey heyn….
or aglee subha panch bajay hi Station say Pindi kay liyee coash pakree …….or takrbn 12 aik bajay hi pindi pohunch gayee…

Babu bazar meen uski dukan thee…. aday say uski dukan tak pohunchna ziada muskil naa huwaa…. bazar key aksr loog usko or uskay khandan ko jantey they…
sub ney isharay kiniyaoon meen hum ko sirf aik hi baat ki keh in say udhar na karyee gaa…..
magr wooh to hamaray sath theek chal rehaa thaa….. khair ….
wooh hamaray aanay per bohot khush huwaa…. humeen apnay ghar ley gayee……hamaray liyee khas tour per khana pakwaya thaa….

pichlee adaigi bhi ker dee ……. or aglay arder bhi naqd paisay dey ker day diyaa keh hum bheyj deyn…

ub to aik nayaa silsilaa shiroo hoo geyaa…… humeeyn is meen maza aanay lagaa…
…or b hum maheenay meen aik adh dufaa……subha subha Station say Pindi ki coach pakertey……. 12 aik bajay tek uskay haan pohunch jaatay…. pichley paisay leytey….. order leytey…….. or 2 -3 bajay Lahore wapsi ki coach pakr ker 7-8 bajay tak Lahore wapus bhi aa jaatay…..

yeh silsilaa do teen saal chalaa….

humeen pata chalaa, javed ka pindi meen hooney walay aik bomb blast meen tang kat gayee thee…. shadi shuda thaa per oulaad naheen thee….. bhaiyoon or waldeyn sub ka alg alg karoobar thaa… per apus meen banti naheen theee…

…loog uski or uskay bhai or walid ki chalakiyoon or bayeemaniyoon key qsay sunatey they…..per hum say to wooh ub tak theek chal rehaa thaa…..

khair ….. kiyoon key koi pareyshani naheen hoo rehee thee…lehaza karobar ker rehey they us say…… ub uski taraf 25,000 say ooper bhi hoo jaatey to humeen ziada fikr naheen hooti thee….

….. aik din uska phone ayee , kehnay lagaa keh us ki beewi sheikh zaid hospital meen hey….. kissi ney usko zehr day diyaa hey ….. jaedad ka chakr hey….. hum agr khuch kar sakeen to ker deyn…..naheen paisay naheen mangey they….per uska matlab thaa keh eelaaj kay liyee…..

hamara aik dost huwa kertaa thaa…. Agha Khan meen, hum ney us say reports ley ker usko bhijwa deyn….. or apnay tayeen mutamayeen hoo gayee keh farz aada ker diyaa hey…

phir aik adh haftay baad kissi ney batayaa ….keh uski beewi ka intaqal hoo geyaa hey…..

uskay baad bhi aik adh dufaa ..uska order ayee….. or ubkay usnay hamary aanay say pehlay hi kissi our key hath draft bhejwa diyaa thaa…

khair hum bhi oour bay his loogon ki tarah is duniya key karobar meen gum hoo gayee… ziada dhiyan naheen diyaa..

phir aik adh din maheenay baad …….. itelah ayee keh uska bhi inteqal hoo geyaa hey….ghalibn beewi ki mout kay sadmay ko wooh bardasht naheen ker sakaa….

hamari kameengi ….. humeeyn forn. …..apnay paisay yaad aa gayee….. koi 24000 say ooper ki raqm thee………… uskay walid or bhai say rabta kiyaa to wooh to saaf mukr gayee…….kehnay lagey ……. sub ko paata thaa key hamara or uska koi taluq naheen thaa……… so hum to uskay zimeydar naheen…

roo dhoo ker chup hoo gayee…….

char chey maheenay baad, aik dik kissi kaa phone ayee…. kehnay laga….meen jawed kaa bhateeja hoon…… aap ki raqm nikaltee hey…… wooh mujh ko takeed ker gayee theeey aa ker ley jayeen…….

hum hairan huway …….. or apni khush kismati per khuda ka shukr aada kiyaa…..

humeen phir pindi jaana paraa…… us kay bhatejey kee bhi dukaan….. Raja bazar key peechay kaheen galiyoon meen hi thee……… bari mushkil day dhoondh ker us tak pohnchay….

usnay raqm poori naheen dee ……..per aik aas to bun gayee…. or taqreebn chay mah tek chakr laganey key baad paisay pooray mil gayee….

karaobar meen ghusa naheen kernaa hoota, khas tour per jub kissi say paisay leyney hoon wooh bhi doobay huway……so hum nay sabr say kaam liyee…..or kamiyabi payee…

paisay nikelnay kay baad , humeen tajusus huwaa key ….. usko hamaray paisay adda kernay ka khiyal kaisay ayee…….
kiyoon keh hum to usko jantay bhi naheen theey. or uska hum say koi wastaa bhi naheen thaa….

wooh agr na deytaa to hum kiyaa ker saktey they…..
usnay to naheen batayaa…… magr uskay aik mulazim ney batayaa…… kehnay lagaa…. javed sahib inkay zimay hamari raqm ker gayee they…… inki neyt bhi ziada theek naheen thee…….

per phir javed sahib….inko khawb meen aa ker daranay legey………Jis raat wooh inko khawab meen aatey theey…. subha inki haalat hi badlee huwi hooti thee……or aik whshat kaa aalam hootaa…thaa…..

or jab tak aap aa ker raqm ley naa jaatay …..aisee hi wehshat taari rehti thee…..

diloon kaa haal allah jantaa hey…….per apni fitrat say baaz naa aatey they…isee liyee aap ko raqm tour tour ker deey hey…..

….or hum sharmindagi say zameen meen garh gayee…… javed aaj bhi humeeyn jaad aata hey ……to aik gunah ka ehsaas hoota hey….

uski beewi ko kissi ney zehr day diyaa…… khud usko sunaa hey…..uskay bhai nay hi ……khuch ker kay kahtam kiyaa thaa jaiedad or dukan kay liyee…….akeylaa admi thaa… oulad thee naheen……. …. uskay baad ub to usko koi yaad bhi naheen kertaa hoogaa….

loog kehtay they….us say bach ker rahee……magr naik insaan thaa…. mout key baad bhi kam is kam hamara qarz utar geyaa…….. or hum aysee gayee guzray they keh uskay kaam hi naa aa sakey….

allah taa’la humeen hamari kotahiyoon per maa’f kareey…

Leave a comment